webnovel

SAFAR PYAAR KA

Yeh kahani hai kanak aur Vihaan ki....Kaise yeh Badale ki tamanna aur nafarty pyar me badalti hai...??

IU207 · Urban
Not enough ratings
156 Chs

Danger

Few Days Later,

Kanak Siya ke sath Cafe me bethi hai,

"Siya tumne sahi kaha tha... Yash... hi in sabke piche hai" Kanak Siya se.

"Han Yash hi hai, Main yeh bat tumhe kab se bata rahi hun" Siya

"Han... Yash ne mujhe khud yeh bat batai hai, Usne mujhe Vihaan ko maar dene ki dhamki bhi di hai" Kanak preshan hote huye.

"Kiya...?, Usne yesa kiya?, Joh bhi ho tum preshan mat ho Kanak, yeh sab mujh pe chodh do...in sabka Main pta lagaungi, bas jab tak tum Vihaan ko kuch mt btana, Ho sakta hai uski jaan ko aur jayda khatra ho" Siya Kanak ke hath pe apna hath rakh kar dilasa dete huye. Kanak Siya ko Mayushi se dekhti hai.

Vihaan ke Office me,

Vihaan apne office me apne Kam me busy hai, Tabhi Abhinav aata hai,

"Sir, Australia se email aaya hai, Wahan Ke surgical Doctor Mr, Harry ne confirmation email send kiya hai"

"Dr. Harry...?, Inka zikar toh Dada ji ne kiya tha" Vihaan apne PC me email open karke padhta hai,

**"Email me Dr. Harry ne likha hai, Vihaan ki report unhone ache se check ki hai, Woh chahate hai Vihaan Australia aaye aur surgery karwaye, Vihaan ke thik hone ke chances 82% hai"**

"Yeh Dada ji ne meri reports Australia send ki hai... " Vihaan Email padh ke.

"Yeh toh Achi bat hai na Sir, Dada ji ne acha kaam kiya, Aap thik ho sakte hai isse achi khabar kiya hogi?"Abhinav khush hote huye.

"thik hone ke 82% Chance hai...18% nahi.... agar main un 18% me se ek hua? " Vihaan PC me dekhte huye.

"Sir aap yesa soch hi kyun rahe hai, Aap thik ho jaoge phir se chalne lagoge mujhe yakeen hai" Abhinav Vihaan se.

"Thanks You, Abhinav meri himmat badhane ke liye" Vihaan Abhibav ko dekhte huye Smile kar ke new Email open karta hai,

Unknown email address ko jese hi open karta hai usme Yash aur Kanak ki sath me pictures hai.Vihaan Picture ko open kar kar ke dekhta h ek ek pictures bariki se click ki gai hai, jise dekhne se lagta h Yash aur Kanak sath me mile the. Abhinav bhi pas me khade photo ko dekh raha hai.

Vihaan shocked ho chuka hai.

"Sir, Bhabhi yesi nahi hai, yeh zrur kisi ki sajish hai. " Abhinav

"Mujhe bhi yesa lagta hai, Investigate karo.. " Vihaan Abhinav se keh kar mobile se Kanak ko call karne lagta hai.

**Ring... Ring**

"Kanak Call Pick nahi kar rahi Hai" Vihaan Mrs.Tina ko call karta hai, "Hello... Mrs. Tina... Kanak kaha hai, Kanak call pick nahi kar rahi... "

"Hello sir... Madam Apna mobile ghar pe hi bhul gai hai, Madam Siya madam se milne gai hui hai" Mrs. Tina Call pe

"Okay... "Vihaan Call cut kar deta hai.

Cafe me,

"Kanak.. Yeh Email Address aur password apne pas rakho.. isme main apne mobile ka sara back up dungi...ise apne pas sambhal ke rakhna" Siya Kanak ko ek paper deti hai.

Kanak chup-chap hath me uss paper ko le kar bag me rakh leti hai

Siya chair se uth kar " Mujhe ab jana.. phir bat hogi... "

"Okay... sambhal ke jana...apna dhyan rakhna" Kanak Siya se. Siya cafe se chali jati hai.

Kanak Uth kar apni parking me lagi car ke pas jaa rahi hai, Driver Kanak ka Wait kar raha hai, Ki Achank se Samne Yash Aakar Kanak ka rasta rokta hai. Kanak shocked ho jati hai.

"Kanak, Mujhse Bina mile jaogi? " Yash Kanak ke samne khada hoke.

"Yash mera rasta chodo mujhe tumse koi bat nahi karni" Kanak jaane ki kosis karti hai, Yash Phir se Kanak ka rasta rok kar.

"Itni Asani se nahi... Tum... Siya... se milne aai thi... Hai na?, Kahi tum dono....mere khilaf Evidence dhundhne ki sajish toh nahi kar rahi ho na...? "Yash Kanak ko ghurate huye mushkrata hai.

Kanak sun kr shocked hoker Yash ko dekh rahi hai.

"Yese mat dekho Kanak... Mujhe tum par payar aata hai, Siya ko samjhao... Iss chakkar me nahi padhe... warna... jese Vihaan ko marne ki planning kar sakta hun... Wese... Siya ko bhi..... ! samajh gai na..? " Yash apni baat kehta hai.

Isi bich Kanak ke Driver joh parking me car ke pas khada hai , Vihaan Ki call Driver ke pas Aati hai. Driver call dekh kr pick karta hai.

"Hello Sir, "

"Kanak kaha hai? " Vihaan

"Sir, Madam samne hi hai, Kisi Adami se Bat kar rahi hai " Driver Kanak ki aur dekh kar.

Vihaan kuch second chup rhe kar sochta hai, phir driver se " Kon hai sath me... mujhe photo click karke abhi send karo"

"Ok sir.. " Driver sunte hi Yash aur Kanak ki Photo click kar ke send kar deta hai.

Yahan Kanak Yash se, "Tum Siya ko kuch nahi karoge... "

"thik hai, Rok lo use...Bahut din se meri Siya pe nazar hai... Siya kiya karna chahati hai, Mujhe sab pata hai... Siya se kaho....inn sab se Dur rahe... " Yash Kanak se keh kr smile karta hua chala jata hai.

Kanak pareshan ho jati hai, sidha Car ke pas aakar Driver se, "Please, Siya Ke ghar chaliye... Abhi... " keh kar Car me beth jati hai.

"Okay madam" Driver

Yahan Vihaan Driver ki bheji photo, Kanak ko Yash ke sath dekh kar, Abhinav se, "Australia ki kal ki tickets book karo...main kal hi Australia jaunga, Aur Kanak ko iss bare me khabar nahi honi chaiye, main Australia Kyun jaa raha hun.. "

"thik hai boss, Main abhi karwata hun" Abhinav Vihaan se keh kr chala jata hai.

Kanak Siya ke ghar pahuchti hai, Kanak ke achanak se pait me dard shuru ho jata hai, Kanak Dard me Darwaja Khat-khatti hai, Siya open karti hai, Kanak Ko dard me dekh kar Siya pareshan ho jati hai.

"Kanak...? Are you Okay?, Anadar aao... " Siya Kanak ko pakad ke andar le jati hai. aur couch pe betha ke Kanak ko pani deti hai.

Kanak pani peti hai, apne pait pe hath rakh ke Apni ankhe bandh kar ke relex karti hai.

"Are you Okay now, kanak? "Siya

"Siya... Meri fiqar chodo.. Tum Apna khyal rakho... Tumhari jaan ko khatra hai... " Kanak Siya ka hath pakad ke.

Siya sunte hi shocking hoker Kanak ko dekhti hai.