125 "I'm not paralysised "

Kanak Yash tak pahuch chuki hai, Yash Kanak ke samne khada hai,

"Siya kaha hai Yash? "

"Sssh... Woh rahi Siya..." Yash jhopadi ke kone ki aur apni ungali point karta hai.

Siya Zameen pe padhi hui hai. Kanak Siya ko dekh kar jaldi se us ki taraf jati hai, aur Siya ke pas beth kar Siya ko apne hatho me le kar

" Siya Siya..aankhe kholo Siya... main hun Kanak... " Kanak Siya ke Muh ko hilate huye.

Yash Kanak ke pas chal ke aata hai, "Kanak chodo na use... Woh marti hai toh marne do...chalo aao Hum apni bat karte hai... " Yash Kanak ka hath pakad ke.

"Yash Mera hath chodo... Siya ko kya kiya hai tumne.. batao mujhe... " Kanak Pareshan hote huye.

Yash Kanak ka hath nahi chodta, Kanak ka hath pakad kar Thodi duri pr khiskhata hua le aata hai, Kanak Ka stomach Aur jayda dard karne lagta hai.

"Ahh...Ahh.. " Kanak Dhire se pait pakad ke Karrahne lagti hai.

"Kanak... shadi toh tumne mujhse nahi ki... Lekin hum honeymoon toh mana sakte hai... " Yash Kanak ke Dono pero ko zor se pakadte huye.

Kanak dar ke piche hatne ki kosis karti hai, "Y... Yash chodo mujhe"

Yash manta nahi hai aur Kanak ke sath zabardasti karne ki kosis karta hai. Kanak ko zor se pakad ke apni taraf jese hi khichata hai, Kanak apne pero ko Zor se Yash ke muh pe maar kar Wahan se bhagne ki kosis karti hai.

Jese hi Kanak Yash se bach kar Jhopadi ke main gate tak pahuchti hai, Yash Kanak ki Tang pakad kr khich leta hai, Kanak Pait ke bal Niche gir jati hai.

"Aaah.... Aah.... " Kanak ki tez chikh nikal jati hai.

Kanak Yash se Phir se piche hat ke Bhagne ki kosis karti hai ki, Uske dard ki wajha se Beth kar apne pait pakad ke ankhe bandh kar leti hai.

"Hahahaha... Bas itna hi dam hai tum me... Hahahaha... Aab kaha bach ke jaogi Kanak, Aur Kon aayga tumhe bachane, Woh Apaahij Vihaan?, Hahahaha... " Yash zor Zor se has kar Kanak ki taraf badh raha hai.

Kanak Wese hi dard me ankhe bandh kr ke bethi hui, Dhimi awaz me karrah rahi hai, "Ah.. ah.. " Kanak Man me "Vihaan ji.. Aap kaha hai... "

Itna kehna tha ki Jhopadi ka main gate khulata hai, bahar se aati tez roshani Yash ke muh pe padhati hai, Yash Dekhne ki kosis karta hai, Wheelchair pe betha Vihaan Akele Uss jhopdi me aata hai. Yash Vihaan ko dekh kar hairan rhe jata hai.

Vihaan Aakar Kanak ki yesi Halat dekhta hai, Vihaan Kanak ke pas jata hai, apna Warm coat Kanak ko odha deta hai, Kanak ko Apne pas Koi mehsus hota hai, Kanak himmat kar ke Nazar Ghuma kar dekhti hai, Dekhte hi Kanak Shocked ho jati hai, Side me Vihaan Yash ko gusse se ghur raha hai.

"Tu.... Hahahaha... tu aaya hai... Apni yeh apaahijo wali gaadi pe.... Hahahaha.... Tu mujhe yese rokega... Apne tute huye pero se.. Aaja Apaahij....Aaja....Hahaha" Yash Hasta hua Kanak ki aur badh raha hai.

Yash Apna hath Kanak ki aur badhata hai, Vihaan Zor se Ek kick marta hai, Yash Dur jaa kar girta hai.

"Kisne kaha....Main Apaahij hun... "Vihaan apni wheelchair se uth kar khada ho jata hai. Kanak Vihaan ko dekhti rhe jati hai, Lekin kuch bol nahi pati.

"T.... tu... Uth kese gaya...? " Yash Shocked hoker haklane lagta hai.

Vihaan uth ke Yash ke pas jata hai aur muh pe 2-4 Punch marta hai.

"Teri himmat kese hui... Meri Wife ko...touch bhi karne ki... "

Itne me piche se police force aa jati hai. Aur sath me Abhinav bhi aa jata hai, Vihaan phir bhi nahi rukta aur Yash ko marta jaa raha hai.

"Sir chod dijiye... Sir... Chodiye use... police aa chuki hai... "Abhinav Vihaan ko pakdte huye, Vihaan Yash ko chod nahi raha hai,

"Sir... Kanak Bhabhi ki tabiyat bigad rahi hai Please sir... Ab toh use chod dijiye" Abhinav Vihaan ko convince karte huye.

Vihaan Sun kar Yash ko chod deta hai,Yash ka pura muh Khoon se lathpath ho chuka hai aur Yash adh-mara ho gaya hai, Police Yash Ko pakad ke Apne sath le jati hai.

Vihaan Kanak ko baho me leta hai, "Hi... Kanak... Sab thik hai"

"V... Vihaan ji... S.... Siya....Siya.... " Kanak dard me behoshi ki halat me Siya ki taraf apni ungali karke batati hai.

Abhinav sun ke Siya ki aur jata hai, " Sir Yahan Siya behosh padhi hai. Yahan Emergancy Strecher lao... jaldi... " Abhinav Police se.

"Kanak, Siya Mil gai hai,Don't worry..." Vihaan Kanak ko goadh me liye kehta hai, Kanak sunte hi apni ankhe bandh kar ke behosh ho jati hai.

In Hospital,

Vihaan Emergency Room ke bahar Ghabraya hua preshan Khada hai, Doctor Kanak ko check kar ke Room se bahar aati hai, Vihaan Doctor ke Pas jaa kar, " Doctor... meri wife..? "

"Yes, Ghabrane wali baat nahi hai, Apki Wife aur apka baby dono Thik hai aur khatare se bahar hai" Doctor Vihaan se.

"Kiya Kaha apne...?, M... Mera baby? "Vihaan Shockingly.

"Ji Apka Baby... Apki Wife pragent hai, dekhne me lagta hai unki pehli pragency hai, Isme Pregnant lady ka khash khayal rakhna chaiye, Iss time unme weakness bahut hai" Doctor keh kr chali jati hai.

Vihaan sun kar hairani se Wahi Khada reh jata hai, Vihaan Room me Kanak ke pas jata hai, Kanak Behosh hai.

avataravatar
Next chapter