114 " I Want to Take Care of You"

Kanak Vihaan ke pas beth kar Vihaan ko apne hatho se medicine Khila rahi hai, Vihaan Medicine lene ke baad,

"Ashi kaha hai?, Aaj subha se mene Ashi ko nahi dekha"

"Ji, Ashi... Subha hi Siya aur Pihu se milne chali gai hai...Mene call ki thi " Kanak Vihaan ko Pani pilate huye.

"Acha... Han, Agar Ashi ghar hoti toh mere pas Kitne rounds laga jati... " Vihaan itna kehta he ki Room me Dada ji aa jate hai.

"Ashi... Humari wajah se gai hai..." Grandpa Room me andar aate hai, Kanak Grandpa ko dekh kr uth ke khadi ho jati hai,

"Kyun ki Ashi ko pata hai, Hum agar yahan aaye hai toh...Ashi ko Bina liye England wapis nahi jaynge" Grandpa Vihaan ke pas khade hoke piche hath kar ke.

"Dada ji, Ashi ko kuch aur din rhene dijiye...Yahan Ashi ka man... "Vihaan ki puri bat nahi hoti.

"Nahi... agar hum Ashi ko apne sath le kar nahi gaye, tumhari Mom humse naraz ho jaygi... Wese bhi Ashi bina bataye Yahan aai hai... isly hum Ashi ko yahan aur din nahi rhene de sakte" Dada ji

Kanak kuch bolne jaa rahi hoti hai, Itne me Door pr Ashi Khadi hai, Piche se Aman bhi aa jata hai, Dada ji, Vihaan, Ashi aur Aman ko sath me dekhte rhe jate hai,

Aman bhi khamosh nazaro se sab ko ek Ankh dekhta hai phir hath utha kar " Hi.... " Dada ji ko dekh kr hath jodh kr " Namaste" kehta hai.

Ashi Chup chap sidhi Vihaan ke pas aakar beth jati hai.

"Apki tareef? " Dada ji Aman se.

"Bhaiya... "Kanak dhimi awaz me kehti hai.

"Dada ji, Yeh Aman Bhaiya hai, Kanak ke badhe bhai" Vihaan.

"Oh... Kanak ke bade bhai... Come in.. .. " Dada ji khush hote huye Aman ko Andar aane ka ishara karte hai aur pas rakhe couch pr apne sath bethne ke liye kehte hai,

"Hum Vihaan aur Ashi ke Grandfather hain.. " Dada ji Aman se.

"Ji, Apse mil kar khushi hui... " Aman kehte huye atak jata hai.

"U can call me Grandpa... " Dada ji Khushi se.

"Ji Grandpa... ji... " Aman sharmate huye.

"Bhaiya... Aap... Sab thik hai na... " Kanak Aman se

"Han sab thik hai... Main bas Ashi ko chodne aa raha tha socha Vihaan se bhi mil lunga... " Aman

Ashi man me shocked hoker " Oh know, You idiot.... Tum. mujhe mushkil me daloge... "

Vihaan Ashi ki aur dekhta hai, Phir Aman se " Ashi ko chodne Ashi... Kaha thi? "

"Ahm.... Ashi ne btaya tha ki... Ashi ko Industrial company ke uper Report likhni hai, aur Ashi ne Meri company ko choose kiya, isly Ashi full day meri company me thi" Aman

"Oh..... "Vihaan dhimi awaz me Ashi ko dekhte huye, Ashi Udasi bhare chere se Vihaan ko dekhti hai.

"Ashi ne jhut kaha? " Kanak man me.

"Acha Aman beta kya Karte ho... " Dada ji aman ke sholder pe hath rakhte huye.

"Ji, Main TTI company ka Mannager hun Filhal ke liye.....kuch khash badhi company nahi hai... " Aman nazre niche kar ke.

"Wah....yeh toh achi bat hai, Km se km tum mehnat toh kar rahe ho, Aaj kal log badhi company me job aur kam km chahate hai... Lage raho... bahut aage jaoge... " Dada ji.

"Ji sukhriya "Aman sharmate huye, Dada ji se kehta hai.

Servants Kuch khane pine ka saman laa kar rakhte hai, Isi tarah bato bato me Waqt guzar jata hai,

2 hours later,

"Thik hai, Mujhe Ijazaat dijiye, Main ab chalta hun, Maa intezaar kar rahi hogi" Aman kehta hua Kanak ki aur dekh raha hai.

"Thik hai, Aram se jao.. " Dada ji

Aman sab se Vida le kar jaane lagta hai , Aman ke sath Kanak bhi room se bahar jaa rahi hai, Ashi Bhi Kanak ke piche piche chali jati hai.

"Kanak Apna khayal rakhio... koi bhi zarurat ho, mujhe kabhi bhi call kario tera bhai hazir hai" Aman Kanak se.

"Ji bhaiya aap bhi apna, aur... Maa papa ka khyal rakhna" Kanak

Aman apna ser han me hila kar Villa se chala jata hai.

Vihaan ke room me, Dada ji aur Vihaan Bat kar rahe hai.

"Aman ladka toh acha hai, Humari Ashi ke liye kesa rahega? " Dada ji Vihaan se.

"Dada ji,.. Aap kehna kiya chahate hai?" Vihaan

"Wahi joh tum samajh rahe ho... " Dada ji smike kar ke

"Dada ji... Isme Ashi Aur Aman bhai ki marzi bhi zaruri hai, Kiya woh dono apas me... Comfortable hai... Tabhi hum aage ki soch sakte hai... Wese bhi, Dada ji... Ashi England me pali badhi hai... uski pasand aur khayalat yahan ki pasand aur khayalaton se alag hi hoge.... hum Ashi ko bina uski marji ke kisi ke sath Bandh nahi sakte" Vihaan.

"Hmm... yeh bat sach hai... thik hai ab aap rest karo"Dada ji khe kr Room se bahar chale jate hai.

Kuch der baad,

Kanak kitchen me Kaam Nipta kar room ki taraf jaa hi rahi hoti hai, Achanak hi Kanak ke Stomach me dard hone lagta hai,

"Ah... " Kanak apne stomach pe hath rakh ke pas rakhi chair pr beth jati hai aur dard se karrah rahi hai.

Tabhi Ashi Pani ka glass aur medicine le kar khadi hui hai, Kanak Ashi ko dekh kar Medicine le leti hai. aur thoda relax karti hai.

"Bhabhi aap thik toh hai na? "Ashi Kanak ko Sympathy dete huye.

"Han... Sukhriya Ashi...? " Kanak Han me ser hila kar Ashi se kehti hai.

"Bhabhi... Aapko doctor se mil lena chaiye, Aap Km se kam Apne baby ke liye....Apna khyal rakhiye... " Ashi

Kanak Khamosh Ashi ki bat sunti hai.

Kanak der raat Room me aati hai Vihaan Kanak ka intezaar kar rha hai,

"Kaha thi tum?" Vihaan Kanak ko dekh kar, Kanak ke chehere pe sickness dekh kar Vihaan, " Are you Okay...? "

"Ji, Main thik hun " Kanak Aakar bed Pe bich me pellows lagane lagti hai.

"Kanak mere pas aao..." Vihaan Kanak ko dekhte huye.

Kanak sunte hi Vihaan ke pas jaa kar beth jati hai, Vihaan zakhami Hatho se Kanak ke face pr aate balo ko side karta hai.

"Mene tumhe apni Tension de di hai... hai na..?, Mujhe Maaf karna... mera yesa koi irada nahi tha.. " Vihaan Kanak ke cheek pr apna hath rakhte huye.

"Vihaan ji, yesa mat boliye... isme Apki koi galti nahi hai.. aap khudh bhi iss bat ki tension nahi le... agar... agar yeh sab mere sath hota toh... " Kanak ka itna kehna tha, Vihaan apni finger Kanak ke lips pe rakh kr chup kar deta hai.

"Sochna bhi mat.... " Vihaan Kanak ke head pr kiss kar leta hai. " Kanak... tumhe apna bhi khayal rakhna zaruri hai, Sirf.... meri dekh-bhal me mat lago, yahan aur bhi servants hai... " Vihaan Kanak ke hath apne zakhami hath me le kr.

"Vihaan ji, Main apki care karna chahati hun...." Kanak Dhire se bolti hai.

Vihaan Kanak ko Mushkurahate huye dekhne lagta hai. Kanak sharam se Vihaan se nazar mila nahi paa rahi.

Der raat ki hawa tez ho gai hai, Window pe dale Pardhe hawa ke bahaw se Aur ucha udhne lage hai...

Kanak aur Vihaan sath me bethe Ek dusre ko apni khamosh bhari nazaro se dekh rahe hai,

avataravatar
Next chapter