1 ACHANAK

Raat ke karib dhai bje, unn sunsaan vaadiyon mein ,ek ajeeb si aahat mehsoos hui . Aisa laga mano ek awaaz ya dhun uss khaalipan ko cheerta hua chala aa raha tha, aur aisa lag a maano, mere kaan ke parde fatt jaenge, agar uss awaaz ko na roka abhi toh!

Aisa pehli baar ho raha tha mere itne din ke safar mein ...Mujhe apne kaam ke wajah se zyadatar travel karna padta hai toh mera saara kharcha mera boss uthaya karta hai.

Just 2 din hue mujhe mussoorie aaye hue,ki

mujhe aate hi iss jagah se kaafi lagaav hone laga hai...Na jaane kya baat hai yahaan  ke har kuch mein, har cheez har vaadi  kuch na kuch rahasya chupaye baithi hai aur yahi baat meri  dhadkano ko tezz karne ki wajah bann jaa rahi hai.

Kaam kar din bhar ke baad jab hotel lauta

toh pehle garam paani se nahaya, fir laga ki jaan mein jaan aayi aur body bhi relaxed mood mein aa chuka tha..

Socha tv chala kar comedy circus dekhoon

par sochna par gaya bhaari kyunki sirf ek cable channel hi aa raha tha. Aur dusre channels pe kuch nhi aa raha tha, toh cable channel hi dekhoon.. achanak maine dekha

ekk bada hi achambhit kar dene wala drishya,

jisme ek ladka ek bada hi anjaan jagah ke ore chala jaa Raha tha..

Woh pal jaise mujhme ek junoon sa jagaa gaya aur mann kar raha tha ki mujhe bhi uske saath waha hona chahiye.

Maine jhatpat video kiya aur hotel reception pe phucha aur manager ka wait karne laga.

Manager 5 min baad jaise hi desk pe aaya

main turant apna jigyaasa liye unke paas phucha.

Maine fatafat unhe uss  jagah Ka video dikhaaya, aur prashna puchne laga

Ki Woh jagah Kaha hai aur main kaise waha jaa sakta hoon, unka jawaab chowkaane wala tha ki waisi koi jagah exist hi nhi Karti pure mussoorie mein.. Maine socha ki mazaak kar rahe honge manager sahab

Dobaara puchne par bhi wohi same jawaab Mila..

Toh bhi Mann Nahin maana tab main paas hi ke ekk dukaan (medicine store) se Kuch emergency medicines lene phucha tha

safar mein thand se bachaav ke liye

protection zaroori hai🙃.

Tab kya mann kiya ki chalo dukaan wale se hi kyun na Puch liya jaaye ki woh jagah Kahan ho sakti hai

Toh puch hi liya inse bhi, toh Woh pehle thora hichkichaaye, fir pehle Kaha ki waisi koi jagah hai hi nhi

Fir maine socha chalo yaha bhi kuch haasil nhi hoga shayad, Kuch door chalne ke baad

door piche se kisine mere kandhe pe haath rakkha , maine ghum ke dekha toh medical store wala tha

Fir ekdum se usne bola ji haan woh jagah mussoorie town se 30 min ke doori mein hai

fir woh ekdam se chup ho gaya ...

Tension saaf dikhayi de raha tha unke chehre par, maano jaise koi anjaana darr ya khauf unke dil mein ghar kar chuka ho aur woh bhi koi saathi ya dost ki talaash mein hai jo unki baat ko samjhe ya unki takleef ka samadhan nikale...

Maine unhe apna number diya aur kaha ki agar unko kabhi bhi koi bhi baat baatni ho toh mujhe call karne mein koi sankoch na kare kabhi bhi, yeh sunn unhe thodi thandak mili

aur humlog unke ghar ke ore chal diye.

Saamne hi ek dhaba tha humne waha nashta pani karte karte uss jagah ke baare mein kuch baatein karni shuru ki aur bhut kuch pata chala mujhe jo kaafi hadd tak utsaah se

paripurn karne wala tha.

Main unki baatein sun kar agle din hi uss jagah ki khoj mein nikal pada. Subah ke 5 bje honge chaaro ore kohraa chaaya hua tha aur sard hawaayein chal rahi thi. Mujhe aisa mausam behadd pasand aata hai , Uff kya feeling hai , waah mazaa aa gaya!

Safar ke dauraan ek ajeeb si "thrilling wali feeling "aa rahi thi jo "bayaan-e- bahaar hai" aur toh aur manzil toh beshumaar hogi asha karta hoon .Raaston pe barf ka bhandaar pada hai aur cleaning service bhi jaari hai jiske liye road jam hai par main toh hotel se gaadi leke nikla tha for sight seeing purpose

toh driver mera thikthak hi tha toh tape chalane ko farmaish ki maine toh usne chala di , pehle toh khabron ka sisila jaari raha fir radio jockey ne gaane bajana shuru kiya , 1-2 gaano ke baad mera favourite gaana bajna shuru hua jiska naam tha "Kuch toh hai tujhse raabta" aur uss gaane se kayi puraani yaadein taaza kar gaya jo shayad mere bitey kal ki thi... Khair fir kabhi discuss karenge!!

Toh hum ( main aur driver)phuch hi gaye woh jagah jo tv mein dekha tha maine .

Woh jagah kuch aisi lagi hi nhi jaise kuch alag  hai waha dekhne wale ke nazariye se

par agar dhyaan se feel kiya jaaye toh "nature tells it's mysteries in mysterious ways".Woh jagah kuch na kuch gul khilaye baithi thi apne andar hi andar jo wo bataa toh rahi thi par koi de-code nhi Kar pa raha tha shayad..

Woh jagah bada hi rahasyami prateet ho rahi thi ,mujhe din ke ujale mein bhi negative vibes hi feel ho rahi thi ,maano kuch na kuch toh raaz hai uss jagah mein jo body ko strong vibes de rahi thi , aur main toh thehra mystery lover ab itne paas aake rahasya toh bhed Kar ke hi jaunga.... Uff mazaa aa gaya..

"Ek nayi mystery ... Hum banane chale history".

Chalte chalte aisa lag raha tha ki uss jagah mein kam hi log aaya jaaya karte hai , kuch ajeeb si kashmakash thi iss jagah ki jo bayaan nhi ki ja sakti, par kuch alag hi tha iss jagah mein jo both "chilling & thrilling waali feeling" de rahi thi. Pata lagane ke liye kuch der aur chal raha tha, fir saamne hi ek chota sa ghar dikha jo ek mamuli lakdi ke boundary se ghira hua tha, aur chota sa bagicha bhi tha jo aankhon ko  bhaa bhi raha tha aur ek shayad ummeed ki kiran jaisi lag rahi thi.

Maine socha ki jo koi bhi hoga iss ghar mein usse meri baaki prashno ka hal milega, par jab paas phucha toh dekha ki uss ghar mein taala mara hua hai, tab maine aaspaas dekha toh kisiko paya nhi , tab mere driver se maine

pucha ki kya woh iss ghar ke kisiko jaanta hai? Maine socha thodi umeed milegi "but all in vain"driver bhi kuch nhi jaanta tha..fir maine driver ko gaari wahin rakhkar sang chalne ko kaha toh woh maana nhi ,kyunki woh uss sunsaan jagah mein shaayad gari chod ke jaana sahi nhi samajhta tha, toh maine khud hi explore karne ka socha ,aur usse kaha ki woh yahin rahe jab tak mein waapas na aa jaun , aur use mera cell number bhi de rakha koi bhi emergency ke liye.

Thodi door jaane ke baad ek aadmi dikha jo lakdiya leke laut raha tha maine socha shayad woh jo ghar maine kuch der pehle dekha shayad woh inhi ka hai, toh maine agey badh kar  unko pukara "oh bhaisahab"

"Oh lakdiwale  bhaisahab ,sunte ho", mujhe laga ki unhone shayad abhi bhi nhi suna mujhe, toh main fir se unko bulaa hi raha tha ki kisine mere kaano ke paas dheere se hi bola par badi gambhir awaz mein "kya aapne mujhe bulaaya babusaheb?" main toh ekdum se hakkabakka reh gaya, jaise ki bijli ka jhatka  lag gaya ho mere purey sharir mein,kyunki itni gambhir awaaz maine itne paas se pehle life mein kabhi nhi suni thi, mujhe lag raha tha ki main wahi pe apne hosh kho baithunga , par jab unko dekha toh pata nhi kaise par achanak se mere andar ek ajeeb si feeling ayi ki nhi abhi tera time nhi aya abhi toh bahut kuch karna baaki hai , uth ja uth , get up man, get up, fir main apne puri taaqat se khada hua aur dhyaan se uss aadmi ko ghoorta raha woh bhi mujhe hi ghoor Raha tha, woh dekhne mein bade buzurg  ya fir keh sakte ho near about 60 saal ka buddha tha par dekhne se hi lag raha tha bhut taaqatwar insaan tha.

Toh fir maine bola haan main aapko hi bula raha tha , mujhe aapse kuch baat karni thi , toh fir uss aadmi ne fir usi awaaz mein pucha kya baat karni hai bataa , main sunn raha hoon ,aur thoda uncha bolna main thoda kam sunta hoon.. toh maine unse unche swar mein hi puchte hue unhe woh video dikhaate hue pucha ki woh jagah se kya woh waaqif hai ya nhi , toh pehle toh kuch bataa nhi rahe the , fir mujhse pucha ki kyun janna chahta hoon main iss jagah ke baare mein , jispe maine bahaana mara ki woh jagah mujhe dekhne ke baad bhut acchi lagi toh main sirf ekbaar waha ghum kar aana chahta hoon .. yeh sunn kar uss aadmi ne kuch socha aur fir kaha ki waha agar sirf ghumna hai tab thik hai par zyada der theherna nahi aur zyada andar mat jaana kuch talaashte hue, jitni jaldi ho wapis aa jana , par main toh thehra  "mystery lover"

maine unke baaton ko maan-ne ka dhong karte hue unke haan mein haan miladi aur fir woh mujhe waha lekar chal diye uss rahasyamayi jagah ki ore .

Waha ki ore chalte hue uss aadmi ne mujhe meri taarif puchi jispe maine kaha ki main ek sarkaari naukri karne wala karamchaari hoon jo kaam ke silsile mein yaha mussoorie mein rehne aaya hoon,fir thodi der mein humlog uss video wali jagah pe pahuch gaye,woh jagah hubahu video se mil rahi thi woh nazaara hi alag feeling de rahi thi jo "bayaan-e-bahaar" thi mere liye, uff kya nazara main wahi kuch der khada ka khada reh gaya aur bhagwaan Ka shukr manaya  ki atlast main uss jagah  phuch hi gaya.Main apni khushi bayaan nhi kar pa raha tha uff maza aa gaya.

Fir maine unko bhi saath chalne ko kaha toh unhone kaha ki iske agey woh jaana nhi chahte kyunki unko paas hi mein thoda kaam hai toh woh yahin aaspaas hi rahenge zarurat padne se unko bulaane ko kaha , jispe maine unka naam pucha ,toh unhone kaha "KESARI LAL".Toh maine unka shukriya adha karte hue aur door tak chalna shuru kiya, kuch door chalte ke saath hi ek ladka dikha jo uss rahasyami jagah pe kuch phool tod raha tha , aur jaise hi usne mujhe dekha woh fataak se furr ho gaya kounsi disha mein toh khayaal na kiya maine par achanak se laga ki woh ekdum se adrishya sa ho gaya , yeh dekh "my heart skipped a beat" aur main kuch der wahin jam se gaya, fir 5 min baad hi shayad maine uss ladke ko baayin ore jaate hue dekha, toh mujhe kya prateet hua ki main uski ore piche piche bhaagne laga pata nhi kounsi jagah dauda jaa raha tha main, shayad mujhe koi power kheechi le ja rahi thi uss ladke ki ore aur main tha ki  hosh mein reh ke bhi hosh mein nhi tha , mere body par mera  control jaise kho sa gaya ho , aur mujhe koi aur hi jaise control kar raha tha.

         Maine achanak se dekha ki woh ladka ek bade se ped ke saamne jaake theher gaya

aur uss ped ko ghoore ja raha tha, fir mujhe pata nhi kya hua, ki maine usko piche se awaaz dete hue pucha ,"o ladke, tu waha kyun ruk gaya,aur tera ghar kaha hai? Iss prashna ka koi jawaab nahi aaya ,mere phir se puchne par bhi koi jawaab na mila. Phir maine uske paas jaana thik samjha aur chala bhi aaya uske paas aur maine phir se apna prashna dohraaya toh iss baar usne mud ke mujhe dekha aur woh ek karib 10 saal ka baccha hoga jiske chehre se masoomiyat tapke ja rahi thi aur ek alag hi kahaani thi uske aankhon mein jo mujhe pata nhi kyun bhut utsuk kar rahi thi janne ko..!

Usne tab bhi kuch nhi bola aur sirf ek takk mujhe ghoor raha tha aur mud ke fir dusri ore chalne laga maine uss ko phir follow karna shuru kiya, iss baar  uss ke saath main bhut door nikal aaya tha, phir maine dekha ki woh ek jagah pe ja ke gayab ho gaya ... main toh chauk gaya ki ho kya raha tha mere saath, aur maine  koi galti toh nhi kardi yahaan aake... bhagwaan jaane !!

Ab main kya karta mujhe pata nhi tha , isliye bina waqt gavaaye main kuch door aur chalne laga, chalte chalte maine saamne dekha ek ladki  ko do ped se lage hue jhule mein swing karte hue, maine socha ki chalo inhise agey ka raasta kyu na puch liya jaye,kyunki mujhe ab sab kuch ek bhool bhooliyaan sa lagne laga tha,  toh main yahi asha lekar unki ore chal pada ki mujhe yaha se nikalne ka raasta shayad mil jaega , toh main unke taraf badhta raha , aur kuch door

chalte hi main uss ladki tak pahuch gaya, uss ladki ko kareeb se jab dekha toh main toh usski khubsoorti mujhe iss tarah bha gayi ki main wahin khada khada  usko ghoorta reh gaya, pata nhi kitni der, par uss waqt lag raha tha ki duniya mein iski khubsoorti aur masoomiyat ka koi jawaab ya tulna hona naamumkin hai, at least mere khyaal  se..!

Maine himmat jutaake unse baat karne ki koshish ki par pehle toh mere muh se kuch nikla nahin, fir maine kuch shan baad unse agey ka raasta puchte hue unka naam pucha,

jisme usne kaha ki yaha se kuch door jaate hi mujhe ek kuaa milega uske baayi ore se guzarna hoga aur main starting point pe phuch jaunga . Toh maine unki baaton mein haami bhari aur mere paas koi dusra option bhi toh nahin tha, toh fir maine unse unkaa naam pucha , toh pehle woh qatrayi fir kuch der baad kaha, unka naam "Haseena" tha, jo unpe suit bhi kar raha tha mere khyaal se, uff jaisa naam waise hi adayein .... qaatilana🙃

aur madhosh karne waali aankhon ke saath...!

Maine unse pucha ki kya woh mere saath chalne pasand karengi sirf kuye tak , maine socha ki woh mana kar dengi , but woh toh easily maan gayi , aur chal di mere saath...

Unke saath safar maano alag si khushi de rahi thi mujhe arrei bhai kisiko bhi deti kisika bhi dil garden garden ho jaata same mere saath bhi kuch waisa hi ho raha tha.Unke saath maano safar maano lag raha tha ki chalta hi jaaye chalta hi jaaye. Par kisko pata tha ki agey mere saath kya hone wala hai ? Mujhe toh pata hi nhi tha ,ki iske agey shaayad kuch durghatna ghat jaaye jo pata hi na chale par bhut zakhmi kar de apne hi tarike se jo shayad bayaan bhi na ki jaa sake !?

Toh hum dono jab tak phuche kuye ke paas mujhe waqt ka hosh hi na raha, pata nhi kitni der se chal raha tha, par koi kua abhi tak nazar nhi aa raha tha, issi beech humne kuch der ek jagah rukne ka nirnaye liya , abhi toh sochta hoon na rukta toh hi accha hota.. uss beech hum dono mein achanak se jaise koi force aa gayi ho jo hum dono ko ek dusre ke paas le aayi aur humare beech kuch intimacy ho gayi jispe maine kaise haami bhar di mann hi mann mujhe bilkul bhi  khabar nhi, par jitni der bhi tha bhut haseen pal the woh..❤️

Fir hum badi der baad kuye ke paas phuche

jaha achanak mujhe woh 10 saal ka baccha dikha , pata nhi woh yaha aaya kaise? Mere puchne par woh iss baar bhi kuch nhi bola, magar pata nhi kyun iss baar woh has raha tha , par uski muskaan mujhe andar hi andar darra rahi thi , jo main bahaar dikha nhi pa raha tha , "while everyone knows how boys pretend to be in front of girls right ?" Maine phir se puchne ki koshish ki toh bhi woh waise hi hass raha tha, par maine jab iss baar mud ke uss ladki ke taraf dekha toh mujhe samajh nhi aaya ki woh kyun muskuraa rahi thi, aur zor zor se has raha rahi thi..mujhe laga kahin kuch toh gadbad hai , ya maine koi harqat toh nhi kardi jiske kaaran main unke hasi ka patra bann gaya tha, par mujhe waisa kuch toh yaad aa nhi raha tha,fir dono meri taraf hi aa rahe the,pata nhi kyun aur main tha ki kuch bol hi nhi paa raha aur pata hi nahin chala ki main kuye ke bhut nazdeek aa chuka hoon , aur main bas girne hi wala tha , tabhi achanak , pata nhi kahaan se mujhe "Alak Niranjan Bam Bhole" ka swar sunaayi diya pata nhi kaha se aur maine undono ke chehre pe maano ajeeb sa darr chaa gaya ho aur dono maano wahin khade khade kuch ho jaega unko , maine uss swar ke taraf ghum kar dekhne ki koshish ki , toh dekha woh awaaz aur kisi ki nahin balki KESARI LAL ji ki thi, aur woh log fir bhi apna best de rahe the mujhe uss kuye mein dhakelne ki fir KESARI ji ne unko chetaavni dete hue kaha ki woh mujhe chod de aur apni raah ko Nikal le , aur yeh bhi kaha ki main unke maut Ka kaaran nhi hoon , balki unke apne pitaah hai Jo ab iss duniya mein nhi hai , toh unhe bhi kisi raah chalte ko chedna ya apne kaabu mein karna  chodna hi parega aur bhagwaan se darna padega , unhone turant Kuch mantro Ka jaap shuru kiya jiske baad unmein khalbali mach gayi, aur woh toh jaise aag mein jal rahe the jaise hi unpe holy water chirka ya kya tha pata nhi jisne unhe bade sangharsh ke baad woh waha se jaise aag mein jal ke bhasm ho gaye. Main toh Pura bhowchakka reh gaya , fir maine KESARI ji se pucha ki woh hai koun , toh uspe unhone bataaya ki woh ek naami pandit hai mussoorie ke rah chalte logo ya musibat mein fase logo ki madad Kar dete hai. Maine unka shukriya adha karte hue unke pair chuye aur dhanyavaad kiya unhe mere praano ki raksha karne ke liye Varna main toh aaj bhagwaan ko pyaara hone hi wala tha.. iss baat pe unhone kaha ki bhagwaan mujhe itni jaldi nhi bulayega isliye toh unhone KESARI JI jaise logo ko meri praano ki raksha karne ke liye chuna hai .

Aur unhone yeh bhi kaha ki yeh dono Bhai behen the jo bhut pehle apne baap se se gussa ho Kar yaha khelne aur samay bitaane aaye the, par unhe pata nhi tha ki unka baap unpe nazar rakha hua tha, aur unpe kisi bhi waqt humlaa ho sakta tha , achanak se unke baap ne unhe piche se aakar haath mein kataari liye unhe daudana shuru kiya jispe woh apni jaan bachane ke liye bhut tez bhaag rahe the par kuye ke paas aa kar unhe rukne ke ilaava koi upay nhi sujha, isliye jab unhone dekha ki woh aur door nhi bhag sakte toh apni jaan bachane ke liye unhone kuye mein chalaang laga di aur kuye Ka paani  bhut gehra tha jis mein  woh doob ke marr gaye , isliye tab se yeh kua shaapit hai aur logo ko apni taraf kheechta hai unki praan lene ke liye. Yeh sab sunn main toh hakkabakka reh gaya , ek baar fir unhe shukriya karte hue waha se bahaar tak hum aaye aur gale mile aur apna number diya KESARI ji ko aur apne hotel ke taraf chal diya.. wakayi life changing experience tha nearly  death experience karke laut raha tha main...

Aaj bhi main jab is ghatnaa ke baare mein sochta hoon toh meri rooh thandi par jaati hai aur bhagwaan Ka laakh laakh shukar manata hoon ki agar uss din KESARI JI na hote toh main aaj yeh aapbiti likhne layak nhi rehta.

Thanks & with love

Anubhav Bhagat

avataravatar